raushnī saañs hī le le to Thahar jaatā huuñ
ek jugnū bhī chamak jaa.e to Dar jaatā huuñ
mirī aadat mujhe pāgal nahīñ hone detī
log to ab bhī samajhte haiñ ki ghar jaatā huuñ
maiñ ne is shahr meñ vo Thokareñ khaa.ī haiñ ki ab
aañkh bhī muuñd ke guzrūñ to guzar jaatā huuñ
is liye bhī mirā e.azāz pe haq bantā hai
sar jhukā.e hue jaatā huuñ jidhar jaatā huuñ
is qadar aap ke badle hue tevar haiñ ki maiñ
apnī hī chiiz uThāte hue Dar jaatā huuñ