Ahmad Kamal Parwazi

aaKHiri marka ab shahr-e-dhuan-dhaar mein hai

Ahmad Kamal Parwazi

1944
āḳhirī ma.arka ab shahr-e-dhuāñ-dhār meñ hai
mere sirhāne kā patthar isī dīvār meñ hai
ab hameñ pichhle havāla nahīñ denā paḌte
ik yahī fā.eda bigḌe hue kirdār meñ hai
beshtar log jise umr-e-ravāñ kahte haiñ
vo to ik shaam hai aur kūcha-e-dildār meñ hai
ye bhī mumkin hai ki lahja hī salāmat na rahe
majlis-e-shahar bhī ab shahar ke bāzār meñ hai
dil kahāñ apnī riyāsat se alag jaatā hai
vo to ab bhī usī ujḌe hue darbār meñ hai
Top Urdushayar.com