shaam ke ba.ad sitāroñ ko sambhalne na diyā
raat ko rok liyā chāñd ko Dhalne na diyā
mauj-e-bātin kabhī auqāt se bāhar na ga.ī
had ke andar bhī kisī shai ko machalne na diyā
aag to chāroñ hī jānib thī par achchhā ye hai
hosh-mandī se kisī chiiz ko jalne na diyā
ab ke muḳhtār ne muhtāj kī dīvār kā qad
jitnā ma.amūl hai utnā bhī nikalne na diyā
jin buzurgoñ kī virāsat ke amiiñ haiñ ham log
un kī qabroñ ne kabhī shahr badalne na diyā