Ahmad Kamal Parwazi

tanhai se bachaw ki surat nahin karun

Ahmad Kamal Parwazi

1944
tanhā.ī se bachāv kī sūrat nahīñ karūñ
mar jā.ūñ kyā kisī se mohabbat nahīñ karūñ
sū-e-falak havā.ī safar hai to kyā huā
Dar jā.ūñ māhtāb kī sūrat nahīñ karūñ
āñkheñ haiñ yā sharāb ke sāġhar bhare hue
pī jā.ūñ kyā ḳhayāl-e-sharī.at nahīñ karūñ
qabze meñ un ke shahr-e-tilismāt hī sahī
kho jā.ūñ kyā ḳhudā kī ibādat nahīñ karūñ
jab tai huā ki raushnī parvardigār hai
pahlū bachā.ūñ us kī itā.at nahīñ karūñ
bazm-e-suḳhan-tarāz meñ nākām hoñ to kyā
chillā.ūñ apne fan kī hifāzat nahīñ karūñ
vo aa gayā 'kamāl' kī qīmat ke ās-pās
bik jā.ūñ apne sach kī hifāzat nahīñ karūñ
Top Urdushayar.com