is andhe qaid-ḳhāne meñ kahīñ rauzan nahīñ hotā
bikhar jaate tabī.at meñ agar bachpan nahīñ hotā
tujhe kyā ilm ke har choT pe taare nikalte haiñ
vo aadam hī nahīñ jis kā koī dushman nahīñ hotā
unheñ bhī ham ne sayyāroñ se vāpas aate dekhā hai
jahāñ bas ishq hotā hai koī īñdhan nahīñ hotā
hamārī nā-murādī meñ vafādārī bhī shāmil hai
agar kuchh aur hote to ye pairāhan nahīñ hotā
bahut mamnūn huuñ phir bhī añdhere kam nahīñ hote
agar tum mere ghar hote to vo raushan nahīñ hotā