Ghamgeen Dehlvi

mera uske pas-e-diwar ghar hota to kya hota

Ghamgeen Dehlvi

1753-1851
mirā us ke pas-e-dīvār ghar hotā to kyā hotā
qazā se ai falak gar is qadar hotā to kyā hotā
janāze par mire us shoḳh ko laayā hai tū āḳhir
agar ai ishq kuchh tujh meñ asar hotā to kyā hotā
huā behosh bilkul aah us kī aamad aamad meñ
gar aane se maiñ us ke bā-ḳhabar hotā to kyā hotā
isī aalam meñ haiñ ye lutf ai dil ishq-bāzī ke
agar bāġh-e-jināñ meñ bul-bashar hotā to kyā hotā
tajallī to huī muusā ko par merī tarah vaa.iz
hamesha jalva-gar har ik shajar hotā to kyā hotā
hunar-mandoñ ko tere haath se hai zindagī mushkil
jo tujh meñ bhī koī ai dil hunar hotā to kyā hotā
kiyā badnām ik aalam ne 'ġhamgīñ' pāk-bāzī meñ
jo maiñ terī tarah se bad-nazar hotā to kyā hotā
Top Urdushayar.com