Ghamgeen Dehlvi

na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai

Ghamgeen Dehlvi

1753-1851

na pūchh hijr meñ jo haal ab hamārā hai

umīd-e-vasl par in dinoñ guzārā hai

na dekhūñ tujh ko to aatā nahīñ kuchh aah nazar

merī putlī āñkhoñ yaar taarā hai

mujhe jo baam pe shab ko bulā.e hai vo maah

magar uruuj pe kyā in dinoñ sitārā hai

yaqīn jaan vaa.iz ki diin o duniyā meñ

bas us sirf mujhe zaat sahārā hai

ajab tarah se nazar paḌ gayā mire hamdam

qayāmat aah vo mukhḌā bhī pyārā pyārā hai

mujhe jo dostī hai us ko dushmanī mujh se

na iḳhtiyār hai us na merā chārā hai

kahā jo maiñ ne pilāte ho bazm meñ sab ko

magar hameñ nahīñ kyā gunah hamārā hai

to bole vo ki jise chāheñ ham pilā.eñ sharāb

ḳhushī hamārī tirā is meñ kyā ijārā hai

gayā vo parda-nashīñ jab se apne ghar 'ġhamgīñ'

tamām ḳhalq se dil ko mire kinārā hai

Top Urdushayar.com