Ghamgeen Dehlvi

uske kuche mein gaya main so phir aaya na gaya

Ghamgeen Dehlvi

1753-1851
us ke kūche meñ gayā maiñ so phir aayā na gayā
maiñ vahāñ aap ko DhūñDā to maiñ paayā na gayā
gum huā dil mire pahlū se ki paayā na gayā
shāyad us kūche meñ jā us se phir aayā na gayā
dam-ba-ḳhud ho ke muā us kī nazākat ke sabab
āh-o-nāla bhī mujhe us ko sunāyā na gayā
us ne ik roz meñ sau baar rulāyā mujh ko
mujh se par us but-e-ḳhush-ḳhū ko manāyā na gayā
ba.ad ik umar ke kyā tujh se kahūñ ai 'ġhamgīñ'
hāl-e-dil us ne jo pūchhā to sunāyā na gayā
Top Urdushayar.com