Ghamgeen Dehlvi

mujhse aazurda jo us gul-ru ko ab pate hain log

Ghamgeen Dehlvi

1753-1851
mujh se āzurda jo us gul-rū ko ab paate haiñ log
aur hī rañgat se kuchh kuchh aa ke farmāte haiñ log
jab se jaanā band merā ho gayā ai hamdamo
tab se un ke ghar meñ har har tarah ke aate haiñ log
mere āh-e-sard kī tāsīr us ke dil meñ dekh
haa.e kis kis tarah mujh par us ko garmāte haiñ log
jab vo ghabrāte the mujh se tab the un ke ghar ke ḳhush
ab jo vo ḳhush haiñ to un ke ghar ke ghabrāte haiñ log
koī samjhāo unheñ bahr-e-ḳhudā ai momino
us sanam ke ishq meñ jo mujh ko samjhāte haiñ log
roz-e-hijrāñ to dikhāyā sau fareboñ se mujhe
dekhiye ab aur kyā kyā haa.e dikhlāte haiñ log
jo lagāte the bujhāte the hamesha un se aah
vo hī ab nā-chār 'ġhamgīñ' mujh se sharmāte haiñ log
Top Urdushayar.com