mukhḌā vo but jidhar karegā
banda sajda udhar karegā
karnā ho jise ki ḳhāna vīrāñ
dil meñ tire vo ghar karegā
vo lutf uThā.egā safar kā
āp-apne meñ jo safar karegā
vaa.iz ye suḳhan tirā kabhī aah
ham meñ bhī kuchh asar karegā
ai shaiḳh tujhe butoñ se inkār
vallāh bahut zarar karegā
ho jis ko tamām shab sar-e-shām
kyā vasl meñ vo sahar karegā
'ġhamgīñ' jo baiThe us ke dar par
vo us ko na dar-ba-dar karegā