vo dard-e-dil bhī nahīñ chashm-e-ḳhūñ-fishāñ bhī nahīñ
kabhī jo thā vo ab andāz-e-gulistāñ bhī nahīñ
ilāj-e-dard-e-mohabbat to kar nahīñ sakte
tumhāre qabze meñ kyā marg-e-nā-gahāñ bhī nahīñ
vo is maqām se guzre haiñ dil ye kahtā hai
jhukā hai sar ki jahāñ koī āstāñ bhī nahīñ
isī chaman meñ ka.ī baar sho.ale bhaḌke haiñ
mirī navā kā koī ab mizāj-dāñ bhī nahīñ
sukūt kitne marāhil ke ba.ad aatā hai
vo mutma.in haiñ mire lab pe ab fuġhāñ bhī nahīñ
ye aur baat qafas meñ guzār duuñ din-rāt
mirā maqām to varna ye gulistāñ bhī nahīñ
shab-e-firāq meñ andesha-e-sahar kaisā
ye vo zamīñ hai jahāñ koī āsmāñ bhī nahīñ