kyā yahī us kā mudāvā na huā
ek bīmār jo achchhā na huā
chaar tinke hī sahī jal to ga.e
kyā mire dam se ujālā na huā
un kī qurbat hī sahī hāsil-e-zīst
ye to andāz-e-tamannā na huā
hai tamannā-e-tulū-e-ḳhurshīd
aur agar phir bhī saverā na huā
pursish-e-ġham to huī thī lekin
ham se iz.hār-e-tamannā na huā
lazzat-e-dard-e-mohabbat ke sabab
ham ko marnā bhī gavārā na huā
ġham ne vo bazm sajā.ī 'ehsās'
maiñ zarā der ko tanhā na huā