dil se dil ke vāste paiġhām kaise aa gayā
mere hoñToñ par tumhārā naam kaise aa gayā
un kī mahfil meñ hamārā naam kaise aa gayā
aaj zikr-e-gardish-e-ayyām kaise aa gayā
dil sī shai ne kaise rasm-e-ārzū kar lī qubūl
tā.ir-e-aflāk zer-e-dām kaise aa gayā
log kahte haiñ masarrat zindagī kā naam hai
phir ye mujh par ziist kā ilzām kaise aa gayā
ishrat-e-ahd-e-guzashta kis tarah yaad aa ga.ī
haath meñ ā.īna-e-ayyām kaise aa gayā
shīsha-e-dil bas-ki nāzuk ishq kī mai tund-o-tez
tum pe ilzām-e-shikast-e-jām kaise aa gayā
fikr ke bādal jabīn-e-husn par 'ehsās' kyuuñ
ye sahar ke vaqt zikr-e-shām kaise aa gayā