tūfān-e-mohabbat laakh uThe tūfān se lekin hāsil kyā
jo Duub ga.ī vo kashtī kyā jo haath aayā vo sāhil kyā
ye barq-o-sharar ye shams-o-qamar dete haiñ nishān-e-manzil kyā
ai dost hameñ ho saktā hai andāza-e-rañg-e-mahfil kyā
kyā kahiye ki dard-e-furqat se 'ehsās' taḌaptā hai dil kyā
taskīn to maanā mumkin hai taskīn se lekin hāsil kyā
ham duur se kyā andāza kareñ kyā nāz-o-niyāz-e-ulfat the
parvāne se hone vaalī thī tauhīn-e-mazāq-e-mahfil kyā
hai rāh-e-mohabbat rāh-e-razā andesha-e-sūd-o-ziyāñ kaisā
maiñ kyuuñ dekhūñ āsān hai kyā maiñ kyuuñ dekhūñ hai mushkil kyā
tauhīn-talab tauhīn-e-junūñ tauhīn urūj-e-manzil hai
maiñ jis pe pahuñch jā.ūñ hamdam ho saktī hai merī manzil kyā
iz.hār-e-ġham-e-dil karnā to 'ehsās' ba-har-hāl āsāñ hai
ashkoñ kī faqat do būñdoñ kā āñkhoñ se nikalnā mushkil kyā