Ehsas Muradabadi

muqabla hai gham-o-alam ka to samna ranj-o-be-kasi ka

Ehsas Muradabadi

muqābla hai ġham-o-alam kā to sāmnā rañj-o-be-kasī kā
rah-e-mohabbat meñ har qadam par nishān miltā hai zindagī kā
isī mohabbat meñ ham pe guzrā ik aisā aalam bhī tīrgī kā
banā liyā āftāb ham ne milā jo zarra bhī raushnī kā
yakāyak ik huuk dil meñ uTThī palaT gayā rañg zindagī kā
ba-ḳhair yādash mire laboñ par abhī abhī naam thā kisī kā
jahāñ se dekho fasāna-e-ġham banī huī iztirāb-e-paiham
hoñ terī nazreñ bhī jis se barham kareñge kyā aisī zindagī kā
ye ahd-e-ġham kī nahīñ hikāyat thī is se pahle bhī aisī hālat
vahīñ pe Thahrī nigāh-e-ulfat jo rañg dekhā shikastagī kā
jo dil pe paiham hai bārish-e-ġham mohabbateñ ho rahī haiñ mohkam
izāfa kartā hai zindagī meñ jo din guzartā hai zindagī kā
bayān-e-ġham kī latāfateñ haiñ mohabbatoñ kī nazākateñ haiñ
vagarna 'ehsās' sach to ye hai salīqa kyā mujh ko shā.irī kā
Top Urdushayar.com