munavvar ho ke kitnī dāstān-e-āshiqī aa.ī
jahāñ tak zikr-e-ġham aayā nazar meñ raushnī aa.ī
tirī ik ik nazar le kar payām-e-zindagī aa.ī
mirī jānib se lekin kab mohabbat meñ kamī aa.ī
jabīn-e-shauq meñ jab koī shān-e-kāfirī aa.ī
to istiqbāl karne har qadam par bandagī aa.ī
ye jān-e-āshiqī hai is ko kis dil se judā kar duuñ
na jaane kitne ġham sah kar to mujh tak bekasī aa.ī
zahe qismat ki us ko dard-e-mahrūmī pasand aayā
mohabbat aish-e-do-ālam ko Thukrātī huī aa.ī
ye aalam hai to phir zabt-e-mohabbat se bhī kyā hāsil
zabāñ par un kā naam aayā ki āñkhoñ meñ namī aa.ī
kisī sūrat meñ ho ye dil kī nisbat chhup nahīñ saktī
mire rone pe āḳhir ik tumhīñ ko kyoñ hañsī aa.ī