soz āvāz meñ lahje meñ khanak hai saaqī
ishq kā tere yaqīñ to nahīñ shak hai saaqī
maiñ ne kab tujh se kahā hai mujhe shak hai saaqī
tere māthe pe sitāroñ kī chamak hai saaqī
kyā tirī shoḳhī-e-guftār kī tashrīh karūñ
kitnī shīrīnī hai aur kaisā namak hai saaqī
ishq ke soz ne naġhmāt ko garmī baḳhshī
ab tire saaz meñ sho.aloñ kī lapak hai saaqī
mere sāñsoñ meñ jo bas jaa.e to kyā us kā ilaaj
tū nahīñ paas magar terī mahak hai saaqī
maiñ bahak jā.ūñ to ye merī tunuk-zarfī hai
aur agar nashsha na ho kis kī hatak hai saaqī
dil-e-'ehsās' meñ jo rūh-e-tajallī hai nihāñ
chāñd tāroñ meñ kahāñ us kī jhalak hai saaqī