zamīñ se duur rahe āsmāñ se duur rahe
jo tum the paas to saare jahāñ se duur rahe
jo ashk-e-ġham mizha-e-ḳhūñ-fishāñ se duur rahe
fasāna ban ga.e lafz-o-bayāñ se duur rahe
vo kyā batā.eñ bahāroñ kī hashr-sāmānī
jo tā.irān-e-qafas gulistāñ se duur rahe
sitam-zarīfī-e-fitrat vo mīr-e-manzil haiñ
vahī jo gard-e-rah-e-kārvāñ se duur rahe
ghaTā sakā na zamāna diloñ kī qurbat ko
tumhāre paas rahe āstāñ se duur rahe
vo daur asl meñ jān-e-ġhazal-sarā.ī thā
vo daur jis meñ ki ham āshiyāñ se duur rahe
nazar se duurī kā 'ehsās' itnā ġham to na thā
malāl ye hai dil-e-dostāñ se duur rahe