Ehsas Muradabadi

kahte hain ki yusuf ka KHaridar to lao

Ehsas Muradabadi

kahte haiñ ki yūsuf kā ḳharīdār to laao
us jins-e-girāñ ko sar-e-bāzār to laao
tamsīl-e-jamāl-e-nigah-e-yār to laao
mumkin ho javāb-e-lab-o-ruḳhsār to laao
lo naam na yaaro ki baġhāvat hai baḌī shai
tum pahle zarā jur.at-e-guftār to laao
ab husn meñ paidā haiñ pazīrā.ī ke āsār
tum ishq meñ kuchh jur.at-e-iz.hār to laao
az-rāh-e-aqīdat use āñkhoñ se lagā.eñ
tum koī hadīs-e-lab-o-ruḳhsār to laao
us ke liye zanjīr-e-bahārāñ bhī hai kaafī
gulshan meñ koī taaza giraftār to laao
ārām pas-e-manzil-e-dushvār hai 'ehsās'
saaya bhī milegā koī dīvār to laao
Top Urdushayar.com