Ehsas Muradabadi

tu hi bata de jamal-e-mani tera karen intizar kab tak

Ehsas Muradabadi

tū hī batā de jamāl-e-ma.anī tirā kareñ intizār kab tak
hayāt kā e'tibār ho bhī nigāh kā e'tibār kab tak
jahān-e-zulm-o-jafā ke mālik koī na ho ashk-bār kab tak
jo dil hī majbūr ho chukā ho to aañkh par iḳhtiyār kab tak
mileñge dāman se aa ke āḳhir mire garebāñ ke taar kab tak
koī batā.e ki ho sakegā mirā junūñ puḳhta-kār kab tak
jo kī kisī ne bhī purshish-e-ġham to chashm-e-majbūr ho ga.ī nam
magar dil-e-zabt-āzmā ke bayān meñ iḳhtisār kab tak
vo bād-e-sar-sar kī be-qarārī vo bijliyāñ aur vo sho.ala-bārī
bas ab qafas hī meñ mutma.in huuñ nazar ko shauq-e-bahār kab tak
ḳhizāñ ke be-kaif daur kā bhī mire garebāñ ye kuchh to haq hai
junūñ ko āḳhir banā.e rakkhūñ niyāz-mand-e-bahār kab tak
qadam qadam par sanam-kada hai nazar nazar meñ haram kā manzar
tajalliyāñ hī to haiñ ye āḳhir ba-qaid-e-dīdār-e-yār kab tak
Top Urdushayar.com