haañ mujhe gavārā hai ishq kā safar tanhā
us ne mujh ko chhoḌā hai kuchh to soch kar tanhā
ziist hai magar suunī ishq hai magar tanhā
chashm sar-basar vīrāñ qalb sar-basar tanhā
vo jamāl kī tābish jaise nuur kī bārish
husn-e-yār kī yūrish aur mirī nazar tanhā
dil kī ek ik hasrat chhoḌ kar huī ruḳhsat
hā.e-re ye sannāTā hā.e-re ye ghar tanhā
kyā qayāmateñ yaaro husn ke jilau meñ thiiñ
ham ne duur tak dekhā ishq thā magar tanhā
Thokareñ hī khā.ūñgā gir ke uTh na pā.ūñgā
manzil-e-mohabbat meñ maiñ chalā agar tanhā
dāman-e-mohabbat par dil kā ḳhuun bhī hogā
terā ġham manā.egī kaise chashm-e-tar tanhā