alam kī had hai kahāñ be-kasī kahāñ tak hai
hamāre ġham meñ tumhārī ḳhushī kahāñ tak hai
bajā ki phuul kī do roza zindagī hogī
kalī se koī ye pūchhe kalī kahāñ tak hai
farishte sajda-e-tāzīm par hue majbūr
mirā niyāz mirī bandagī kahāñ tak hai
nazar kā qasd hī kab thā tire jamāl kī diid
ye dekhnā thā faqat raushnī kahāñ tak hai
darindagī kā musalsal mahāz hai qaa.em
ye dekhne ke liye aadmī kahāñ tak hai
tumhāre naam se duniyā mujhe pukār uThī
tumhārī zaat se vābastagī kahāñ tak hai
niyāz-mandī ko ehsās dekhnā ye hai
mizāj-e-husn kī āshuftagī kahāñ tak hai