Ehsas Muradabadi

koi tufan to nahin koi talatum to nahin

Ehsas Muradabadi

koī tūfāñ to nahīñ koī talātum to nahīñ
zindagī naam hai jis kā vo kahīñ tum to nahīñ
aur kyā kahiyegā ā.īna-e-hairat ke sivā
un kī mahfil meñ mujhe izn-e-takallum to nahīñ
jis taraf dekhiye ik nūr-e-tajallī paidā
aap kī bazm meñ shāmil mah-o-anjum to nahīñ
aur kyā dil kī tabāhī pe tavajjoh detā
aap dekheñ mire hoñToñ pe tabassum to nahīñ
aa.ina dekh ke ab pyaar sā aa jaatā hai
merī sūrat se numāyāñ ye kahīñ tum to nahīñ
mausam-e-lāla-o-gul ahd-e-bahār-e-gulshan
ye kahīñ aap kā andāz-e-tabassum to nahīñ
manzileñ apnī jagah par haiñ talab apnī jagah
jā hī pahuñchegā ki 'ehsās' abhī gum to nahīñ
Top Urdushayar.com