Ehsas Muradabadi

ab wo pahle se mehr-o-mah nahin

Ehsas Muradabadi

ab vo pahle se mehr-o-māh nahīñ
koī āsūda-e-nigāh nahīñ
jo bhī niklā tumhārī mahfil se
us ko duniyā meñ phir panāh nahīñ
ishq kā dard phir burā kiyā hai
maut lāzim hai ishtibāh nahīñ
zindagī hī gunāh jab Thahrī
zindagī meñ koī gunāh nahīñ
dushmanoñ se to hai hazar mumkin
dostoñ se kahīñ panāh nahīñ
tum agar markaz-e-tamannā ho
phir tamannā koī gunāh nahīñ
ik jhalak un kī dekh lī 'ehsās'
ab koī markaz-e-nigāh nahīñ
Top Urdushayar.com