zindagī chamke mirī mehr-e-daraḳhshāñ kī tarah
tum agar saath do merā shab-e-hijrāñ kī tarah
phir maiñ ḳhud aap se ta.abīr-e-mohabbat pūchhūñ
aap aa jaa.eñ kisī ḳhvāb-e-pareshāñ kī tarah
laakh qurbāniyāñ ik zaat kī ḳhātir se huiiñ
koī patthar bhī na puujā gayā insāñ kī tarah
aur kyā pesh karūñ hāsil-e-zabt-e-ġham-e-ishq
chashm-e-giryāñ kī tarah chehra-e-ḳhandāñ kī tarah
haath aa jaa.e agar gosha-e-dāmān-e-karam
vus.ateñ duuñ maiñ use ālam-e-imkāñ kī tarah
aur kyā lā.ūñ maiñ takmīl-e-bahārāñ kā subūt
apne dāman kī tarah apne garebāñ kī tarah
āñdhiyāñ aatī haiñ gul karne ko 'ehsās' bahut
jhilmilātā huuñ charāġh-e-tah-e-dāmāñ kī tarah