dard-āmez hai kuchh yuuñ mirī ḳhāmoshī bhī
raas aatī nahīñ mujh ko ye ḳhirad-poshī bhī
kaisī hairat hai ki ik maiñ hī na behosh rahā
kyā ta.ajjub hai ki chhātī nahīñ madhoshī bhī
yaad kā kaun sā aalam hai ki maiñ martā huuñ
aur zinda hai mirā ḳhvāb-e-farāmoshī bhī
kis kī ā.ankhoñ kā nasha hai ki mire hoñToñ ko
is qadar tar nahīñ kar saktī balā-noshī bhī
maiñ kināra bhī karūñ ḳhud se to mumkin hai kahāñ
ki na ho tere ta.alluq se ham-āġhoshī bhī