phir qissa-e-shab likh dene ke ye dil hālāt banā.e hai
har sher hamārā āḳhir ko terī hī baat banā.e hai
tum ko hai bahut inkār to tum bhī is kī taraf jā kar dekho
vo shaḳhs amāvas raat ko kaise chāndnī raat banā.e hai
ab ḳhvāb meñ bhī us zālim ko bas hijr kā saudā rahtā hai
ai jazba-e-dil tū kis ke liye ye phuul aur paat banā.e hai
kyā hosh-o-ḳhirad kyā harf-o-navā sab apne liye bekār hue
qirtās-e-nazar par tanhā.ī biite lamhāt banā.e hai
har baar vahī hijrāñ hijrāñ kā shor machāne vaalā dil
apnī hī kare hai rishta-e-ġham tere hī saat banā.e hai
kyā jāniye ab ke mausam meñ kab vaqt ke jī meñ kyā aa.e
kis kī auqāt bigāḌe hai kis kī auqāt banā.e hai
ye terā divāna raat ga.e mālūm nahīñ kyuuñ pahroñ tak
aañsū kī lakīroñ se kitne naqsh-e-jazbāt banā.e hai