Taleef Haidar

nazargi-e-shauq ne didar mein khincha

Taleef Haidar

Vasai, Maharashtra, India

1987
nazzārgi-e-shauq ne dīdār meñ khīñchā
phir maiñ ne use apne havas-zār meñ khīñchā
khultī nazar aatī hai qabā-e-gul-e-maqsad
ehsās-e-talab ne jo use ḳhaar meñ khīñchā
hai dīdanī gul-kāri-e-ehsās-o-taḳhayyul
kyā āriz-e-gul ko lab-e-iz.hār meñ khīñchā
tasvīr sī ik ban ga.ī kyā jāniye kis kī
qatroñ ne nam apnā mirī dīvār meñ khīñchā
tā-hadd-e-nazar khultī ga.ī zulf-e-do-ālam
ehsās ye kis kā dil-e-bedār meñ khīñchā
Top Urdushayar.com