ye shahr apnī isī hāv-hū se zinda hai
tumhārī aur mirī guftugū se zinda hai
kuchh is qadar bhī burā.ī nahīñ hai maz.hab meñ
jahān kalma-e-lā-taqnatū se zinda hai
ham apnī nafs-kushī kī taraf nahīñ maa.il
ki apnā jism to bas aarzū se zinda hai
ab us ke ba.ad batā.eñ to kyā batā.eñ ham
tamām qissa-e-man hai ki tū se zinda hai
ham is ke ba.ad bhī sargarm-e-zindagī haiñ ki dil
bas ek qatra-e-tāza-lahū se zinda hai