yuuñ bhī to tirī raah kī dīvār nahīñ haiñ
ham husn-e-talab ishq ke bīmār nahīñ haiñ
yā tujh ko nahīñ qadr ham-āshufta-saroñ kī
yā ham hī mohabbat ke sazā-vār nahīñ haiñ
kyā hāsil-e-kār-e-ġham-e-ulfat hai ki majnūñ
ab dasht-navardī ko bhī tayyār nahīñ haiñ
aksar mire sheroñ kī sanā karte rahe haiñ
vo log jo ġhālib ke taraf-dār nahīñ haiñ
ab tujh ko salām ai ġham-e-jānāñ ki jahāñ meñ
kyā ham se dīvānoñ ke ḳharīdār nahīñ haiñ
phir tujh se judā ho ke kahīñ ḳhud se bichhaḌ jaa.eñ
ham log kuchh aise bhī dil-āzār nahīñ haiñ