Taleef Haidar

hum hijr ke raston ki hawa dekh rahe hain

Taleef Haidar

Vasai, Maharashtra, India

1987
ham hijr ke rastoñ kī havā dekh rahe haiñ
manzil se pare dasht-e-balā dekh rahe haiñ
is shahr meñ ehsās kī devī nahīñ rahtī
har shaḳhs ke chehre ko nayā dekh rahe haiñ
inkār bhī karne kā bahāna nahīñ miltā
iqrār bhī karne kā mazā dekh rahe haiñ
tū hai bhī nahīñ aur nikaltā bhī nahīñ hai
ham ḳhud ko rag-e-jāñ ke sivā dekh rahe haiñ
kuchh kah ke guzar jā.egā is baar zamāna
ham us ke tabassum kī sadā dekh rahe haiñ
Top Urdushayar.com