kaam ik ye tire āshiq ne baḌā ḳhuub kiyā
ḳhuun se likh ke ravāna tujhe maktūb kiyā
ye bhī kyā kam hai tirī bazm ke har sāme.a ne
mere sheroñ ko tirī zaat se mansūb kiyā
ik mire qatl pe vāvailā munāsib to nahīñ
shar-pasandoñ ne to iisā ko bhī maslūb kiyā
jism phūloñ sā thā siine meñ rakhā thā patthar
hausla dekhiye maiñ ne use mahbūb kiyā
kitne dīvānoñ ko farzāna kiyā hai tū ne
kitne farzānoñ ko tujh ishq ne majzūb kiyā