Ammar Yasir Migsi

aankh ashk bahane pe hai mamur minal-ishq

Ammar Yasir Migsi

Khanewal, Punjab, Pakistan

1979
aañkh ashk bahāne pe hai māmūr minal-ishq
aur hoñT haiñ chup rahne pe majbūr minal-ishq
dāman pe tire dāġh-e-mohabbat nahīñ ik bhī
lagtā hai miyāñ tū mujhe maqhūr minal-ishq
chaltī hai uThā kar tirī ḳhushbu-e-badan ko
merī to har ik saañs hai mazdūr minal-ishq
maj.hūl hai mat.ūn hai mal.ūn hai vo shaḳhs
jo hijr se ghabrā ke ho mafrūr minal-ishq
'ammār' kā īmān hai chāhat ke jahāñ meñ
hotā hai vahī jo bhī ho manzūr minal-ishq
Top Urdushayar.com