banā ke nāqa-e-ulfat kā sārbān mujhe
phir us ke ba.ad phirāyā gayā jahān mujhe
idhar vo bichhḌā udhar ik sitārā TuuTā phir
maiñ āsmān ko dekhūñ aur āsmān mujhe
hasad nifāq adāvat havas daġhā lālach
lage hai zahr ye nafrat kā ḳhāndān mujhe
kisī gumān pe kartā nahīñ yaqīn kabhī
kabhī yaqīn pe hotā nahīñ gumān mujhe
kisī ke paañv se mas ho ga.ī tabhī 'ammār'
mirī zamīn lage rashk-e-āsmān mujhe