baqā kā aur fanā kā mo.āmla hai huzūr
charāġh aur havā kā mo.āmla hai huzūr
maiñ us ko mānūñ na mānūñ mujhe mile na mile
ye merā aur ḳhudā kā mo.āmla hai huzūr
ye merī tujh se mohabbat agar ḳhatā hai to phir
yahāñ pe husn-e-ḳhatā kā mo.āmla hai huzūr
ye tai huā bhī agar hogā nok-e-neza par
ye ek karb-o-balā kā muāmla hai huzūr
hai ek dil ko ijāzat yahāñ dhaḌakne kī
hathelī aur hinā kā mo.āmla hai huzūr
tabhī to sachchā ḳhudā bhī ḳhamosh hai 'ammār'
ye āstīñ kā asā kā mo.āmla hai huzūr