Adeeb Saharanpuri

manzilen na bhulenge rah-rau bhaTakne se

Adeeb Saharanpuri

India

-1963
manzileñ na bhūleñge rāh-rau bhaTakne se
shauq ko ta.alluq hī kab hai paañv thakne se
zindagī ke rishte bhī duur duur tak nikle
ruuh jaag uThtī hai phuul ke mahakne se
kitne tiir khaa.e haiñ kitne ġham uThā.e haiñ
baaz hī nahīñ aatā dil magar dhaḌakne se
ek sāġhar-e-labrez aur sūrat-e-suqrāt
jāvedāñ nahīñ hote sirf zahr chakhne se
kār-e-āshiyāñ-bandī aur ho gayā mahbūb
jauhar-e-talab chamkā bijliyāñ kaḌakne se
garm ho ke pachhtā.e bād-e-tund ke jhoñke
raushnī charāġhoñ kī baḌh ga.ī bhaḌakne se
ai adīb-e-pur-goī farz to nahīñ koī
kyā barī hai ḳhāmoshī ol-fol bakne se
Top Urdushayar.com