Adeeb Saharanpuri

wo pau phaTi wo kiran se kiran mein aag lagi

Adeeb Saharanpuri

India

-1963
vo pau phaTī vo kiran se kiran meñ aag lagī
vo shab kī zulf-e-shikan-dar-shikan meñ aag lagī
sulag uThī vo ridā-e-nujūm-o-kāhkashāñ
vo dekh dāman-e-charḳh-e-kuhan meñ aag lagī
nashāt-e-garmī-e-mahfil thī jis kī tābānī
isī charāġh se kyuuñ anjuman meñ aag lagī
hazār shams-o-qamar bujh ga.e pa ye na bujhī
ye kis diye se patañgoñ ke man meñ aag lagī
tamām umr ke aañsū use bujhā na sake
jo dil se tā-ba-jigar dam-zadan meñ aag lagī
bhulā sakegī na duniyā ye hādisa ki 'adīb'
charāġh-e-lāla-o-gul se chaman meñ aag lagī
Top Urdushayar.com