naġhma-e-ishq-e-butāñ aur zarā āhista
zikr-e-nāzuk-badanāñ aur zarā āhista
mere mahbūb kī yādoñ ke bhaḌakte haiñ charāġh
ai nasīm-e-guzarāñ aur zarā āhista
jis taraf se vo guzarte haiñ sadā aatī hai
ai qarār-e-dil-o-jāñ aur zarā āhista
dil har ik gaam pe logoñ ne bichhā rakkhe haiñ
aur ai sarv-e-ravāñ aur zarā āhista
kūcha-e-dost meñ āhista-ravī ke bā-vasf
dil ye kahtā hai yaañ aur zarā āhista
un pe mauj-e-nafas-e-gul bhī girāñ guzre hai
pursish-e-ġham-zadagāñ aur zarā āhista
bāñdh kar ahd-e-vafā koī gayā hai mujh se
ai mirī umr-e-ravāñ aur zarā āhista
kam ibādat se nahīñ zikr butoñ kā bhī 'azīz'
baare tausīf-e-butāñ aur zarā āhista