mire shauq-e-justujū kā kise e'tibār hotā
sar-e-rāh manziloñ tak na agar ġhubār hotā
maiñ tujhe ḳhudā samajh kar na gunāhgār hotā
agar ek be-niyāzī hī tirā ash.ār hotā
jo sitam-zadoñ kā yā-rab koī ġham-gusār hotā
to ġham-e-hayāt itnā na diloñ pe baar hotā
mirī zindagī meñ shāmil jo na terā pyaar hotā
to nashāt-e-do-jahāñ bhī mujhe nāgavār hotā
yahī mahr o maah o anjum ko gila hai mujh se yā-rab
ki unheñ bhī chain miltā jo mujhe qarār hotā
na sukūn-e-dil kī chāhat meñ taḌap 'adīb' itnā
kisī aur ko tū miltā jo kahīñ qarār hotā