Adeeb Saharanpuri

nahin kisi ki tawajjoh KHud-agahi ki taraf

Adeeb Saharanpuri

India

-1963
nahīñ kisī kī tavajjoh ḳhud-āgahī kī taraf
koī kisī kī taraf hai koī kisī kī taraf
tumhārā jalva-e-ma.asūm dekh le ik baar
ḳhayāl jis kā na jaatā ho bandagī kī taraf
mizāj-e-shaiḳh-o-barhaman kī barhamī ma.alūm
ki ab hayāt kā ruḳh hai ḳhud-āgahī kī taraf
nazar vo log ujāle meñ ḳhud na aa.e kabhī
bulā rahe haiñ jo duniyā ko raushnī kī taraf
jatā rahe haiñ hamīñ ko na dekhnā apnā
vo dekh dekh ke mahfil meñ har kisī kī taraf
hazār baar irāda kiye baġhair bhī ham
chale haiñ uTh ke to aksar ga.e usī kī taraf
butoñ ne muñh na lagāyā 'adīb' ko shāyad
jhuke hue haiñ jabhī to ye shaiḳh-jī kī taraf
Top Urdushayar.com