Adeeb Saharanpuri

baKHshe phir us nigah ne arman nae nae

Adeeb Saharanpuri

India

-1963
baḳhshe phir us nigāh ne armāñ na.e na.e
mahsūs ho rahe haiñ dil o jaañ na.e na.e
yuuñ qaid-e-zindagī ne rakhā muztarib hameñ
jaise hue hoñ dāḳhil-e-zindāñ na.e na.e
kis kis se is amānat-e-dīñ ko bachā.iye
milte haiñ roz dushman-e-īmāñ na.e na.e
rāhat kī justujū meñ ḳhushī kī talāsh meñ
ġham pāltī hai umr-e-gurezāñ na.e na.e
masjid meñ aur zikr butoñ kā janāb-e-shaiḳh
shāyad hue haiñ aap musalmāñ na.e na.e
dam bhar dam-e-ajal ko na hāsil huā farāġh
hote rahe charāġh farozāñ na.e na.e
ḳhāna-ḳharāb ham se jahāñ meñ kahāñ 'adīb'
ābād kar rahe haiñ bayābāñ na.e na.e
Top Urdushayar.com