Adeeb Saharanpuri

ek KHalish ko hasil-e-umr-e-rawan rahne diya

Adeeb Saharanpuri

India

-1963
ik ḳhalish ko hāsil-e-umr-e-ravāñ rahne diyā
jaan kar ham ne unheñ nā-mehrbāñ rahne diyā
ārzū-e-qurb bhī baḳhshī diloñ ko ishq ne
fāsla bhī mere un ke darmiyāñ rahne diyā
kitnī dīvāroñ ke saa.e haath phailāte rahe
ishq ne lekin hameñ be-ḳhānumāñ rahne diyā
apne apne hausle apnī talab kī baat hai
chun liyā ham ne tumheñ saarā jahāñ rahne diyā
kaun is tarz-e-jafā-e-āsmāñ kī daad de
baaġh saarā phūñk Daalā āshiyāñ rahne diyā
ye bhī kyā jiine meñ jiinā hai baġhair un ke 'adīb'
sham.a gul kar dī ga.ī baaqī dhuāñ rahne diyā
Top Urdushayar.com