ik ḳhalish ko hāsil-e-umr-e-ravāñ rahne diyā
jaan kar ham ne unheñ nā-mehrbāñ rahne diyā
kitnī dīvāroñ ke saaye haath phailāte rahe
ishq ne lekin hameñ be-ḳhānumāñ rahne diyā
ārzū-e-ishq bhī baḳhshī diloñ ko ishq ne
fāsla mere aur un ke darmiyāñ rahne diyā
apne apne hausloñ apnī talab kī baat hai
chun liyā ham ne unheñ saarā jahāñ rahne diyā
ye bhī kyā jiine meñ jiinā hai baġhair un ke 'adīb'
sham.a gul kar dī ga.ī baaqī dhuāñ rahne diyā