Bushra Hashmi

aankhon ko ab nigah ki aadat nahin rahi

Bushra Hashmi

āñkhoñ ko ab nigāh kī aadat nahīñ rahī
ab kuchh bhī dekhne kī zarūrat nahīñ rahī
sachchā.iyoñ kī raah bahut ho ga.ī kaThin
is rāste pe chalne kī himmat nahīñ rahī
dushman ho dost ho koī apnā ki ġhair ho
ham ko to ab kisī kī bhī hājat nahīñ rahī
duniyā azīz-tar rahī ik arsa-e-darāz
lekin ab is kī bhī to mohabbat nahīñ rahī
arsa huā kisī ne pukārā nahīñ mujhe
shāyad kisī ko merī zarūrat nahīñ rahī
kāñTā sā ek dil meñ khaTaktā hai mustaqil
par dil kī baat kahne kī aadat nahīñ rahī
sarmāya-e-hayāt huā chāhtā hai ḳhatm
jis par ġhurūr thā vahī daulat nahīñ rahī
'bushrā' kabhī jo jaao vahāñ arz-e-hāl ko
kahnā ki ham pe ab vo ināyat nahīñ rahī
Top Urdushayar.com