abhī bādaloñ kā safar kahāñ mire mehrbāñ
abhī qaid huuñ sar-e-āshiyāñ mire mehrbāñ
rahe fāsle mirī dastaras meñ tamām din
magar ab to shaam kā hai samāñ mire mehrbāñ
sabhī pursish-e-ġham-e-jāñ ke vāste aa.e the
mire chārāgar mire nauha-ḳhvāñ mire mehrbāñ
vahī lafz haiñ durr-e-be-bahā mire vāste
jinheñ chhū ga.ī ho tirī zabāñ mire mehrbāñ
sabhī marhale rah-e-shauq ke the nigāh meñ
mire hausle rahe nā-tavāñ mire mehrbāñ
kabhī gardish-e-shab-o-roz se na amaañ milī
mire sar pe kab na thā āsmāñ mire mehrbāñ