dil ke zaḳhmoñ kī chubhan dīda-e-tar se pūchho
mere ashkoñ kā hai kyā mol guhar se pūchho
ghar jalā baiThe charāġhoñ kī havas meñ āḳhir
ghar kī qīmat to kisī ḳhāk-basar se pūchho
ye to ma.alūm hai maiñ samt-e-safar kho baiThī
tum isī baat ko andāz-e-digar se pūchho
ret uḌtī hai sujhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
kaT sakegī kabhī ye raat sahar se pūchho
yuuñ to majnūñ bhī huā kohkan o mansūr hue
ghāyal ab kaun huā tīr-e-nazar se pūchho
log kahte haiñ mujhe sañg-e-sar-e-rah 'bushrā'
qadr-o-qīmat mirī kuchh ahl-e-hunar se pūchho