agarche kahne ko kal kā.enāt apnī thī
haqīqatan kahāñ apnī bhī zaat apnī thī
kaheñ to kis se kaheñ ham hayāt apnī thī
na koī din thā hamārā na raat apnī thī
koī bhī aaj to apnā nazar nahīñ aatā
jo tum the apne to kul kā.enāt apnī thī
ye kyā ki aaj koī naam tak nahīñ letā
vo din bhī the ki har ik lab pe baat apnī thī
hamāre paas rahā kyā hai ab ġhamoñ ke sivā
vo din ga.e ki rah-e-shash-jihāt apnī thī
hamīñ se bhuul kahīñ ho ga.ī mohabbat meñ
vagarna vo nigah-e-iltifāt apnī thī
jo tum qarīb the har shai pe iḳhtiyār sā thā
ye chāñd aur sitāroñ kī raat apnī thī
hameñ ḳhud apnī ḳhirad kā ġhurūr le Duubā
nahīñ to ek zamāne meñ baat apnī thī
'hayāt' is liye nazm-e-kuhan ko toḌ diyā
ki aaj sirf isī meñ najāt apnī thī