aaj hai dahr meñ kyā ik na.ī aafat ke sivā
buġhz-o-nafrat ke sivā ranj-o-musībat ke sivā
is tarah chhāyā huā hai nigah-o-dil pe tilism
jaise har chiiz haqīqat ho haqīqat ke sivā
apne har jabr ko vo mehr-o-vafā kahte haiñ
ham bhī kuchh naam na deñ us ko mohabbat ke sivā
hastī-e-ishq ko ab tak na koī jaan sakā
varna hai dahr meñ kyā aur mohabbat ke sivā
har-nafas ik na.e tūfān kī yūrish hai 'hayāt'
kis ko ilzām deñ is daur meñ qismat ke sivā