ab chaman-zār hī apnā hai na sahrā apnā
kal har ik shāḳh pe mumkin thā baserā apnā
bām-o-dar tak na rahe ghar ke to ghar kyā apnā
ab falak bhī na haTā le kahīñ saayā apnā
umr bhar jis ne zamāne kī masīhā.ī kī
ban sakā apne hī ġham maiñ na masīhā apnā
kis ke ghar jā.ūñ kise aaj maiñ apnā samjhūñ
apne ghar hī meñ nahīñ koī shanāsā apnā
phir kasī moḌ pe ik roz pukāroge mujhe
chāhe ab toḌ do dil se mire rishta apnā
tum hameñ harf-e-ġhalat kah ke miTā bhī na sake
ab bhī har lab pe sar-e-bazm hai charchā apnā
shaam ho jā.egī ik roz to chalte chalte
saath lete chaleñ ham aaj ujālā apnā
saath sab chhoḌ ga.e rāh-e-mohabbat meñ 'hayāt'
sarf ik saath rahā naqsh-e-kaf-e-pā apnā