ḳhushbū sī koī aa.e to lagtā hai ki tum ho
shīsha kahīñ Takrā.e to lagtā hai ki tum ho
ehsās-e-mohabbat se kisī gosha-e-dil meñ
jab choT ubhar aa.e to lagtā hai ki tum ho
pur-kaif havā meñ jo kisī peḌ ke nīche
āñchal mirā lahrā.e to lagtā hai ki tum ho
chhūne se kabhī bād-e-sabā ke mire tan meñ
ik barq sī lahrā.e to lagtā hai ki tum ho
sar rakh ke jo patthar pe kabhī rāh-e-alam meñ
kuchh niiñd sī aa jaa.e to lagtā hai ki tum ho
jab shām-e-mulāqāt paḌosī ke makāñ se
āvāz koī aa.e to lagtā hai ki tum ho
jab shāna bhī karne na uThe haath hamārā
aur zulf sañvar jaa.e to lagtā hai ki tum ho